Python kya hai ?
Python ek programming language h , to programming language kya h , dekho agar mai kisi se baat kr rha hu ya fir kisi ko kuch samjha raha hu to usse baat krne ya samjhane m mujhe kisi language ka use krna padega jaise man lo mai use hindi m samjha rha hu to yaha mai hindi language use kr rha hu thik usi tarah computer ko samjhane ke liye mujhe kisi programming language ka use krna padega , aur PYTHON unme se ek hi hai.
" agar ap ko lagta h ki python language ka naam python( ajgar ) ke naam pr rakha gya h to ap bahut badi galat fahmi mai ji rhe ho kyoki python ka naam ek comedy group 'montey python' se liya gya h"
Python hi kyo ?
- Python ka use web development m hota hai
- Python ka use software development m hota hai
- Python ka use Data Science m hota hai
- Python ka use big data m hota hai
- Python m abhi tak 63595 packages h
" waise m apko bta do python m jo two or three line ka code hota h wo baki language jaise java m ek page ka code hota h"
Python versions ?
Python ke kai versions h , python ka pahela version h Python 1.4 jo ki 1996 m aaya tha , aur abhi python ka current version hai Python 3.8.3, hai , har version ke sath kuch na kuch update aata rahta h
Kya python ek interpreted language hai?
Ha , python ek interpreted language hai , interpreted ka mtlb ye hai ki python interpreter use krta hai to ye interpreter kya h interpreter code ko execute krne me madad krta hai.
INSTALL PYTHON
Niche di hui link pe click karo aur python install kro
It's so interesting
ReplyDelete